रविवार, 28 मार्च 2010

UPAR WALA BANA RANBHOOMI

har taraf bhgwa rang lehrata dikh raha tha...isase pehle aisa nazara maine apne is chhote se kasbe main nahi dekha tha...kafi dino bad main apne ghar gayi thi.....har taraf roshni thi...navratri chal rahi thi...lekin chaitra ki navratri main isase pehle kabhi itni rounak nahi hoti thi...mujhe ye sab ajeeb lag raha tha.. har taraf taiyariyan chal rahi thi...tab maine poochha ye sab kya hai amma...amma ne bataya ek bahut bada juloos niklne ki taiyari hai... ye ramnavmi ko niklega...lekin mere man ka sawal ab bhi jas ka tas tha aakhir itni taiyari..pele bhi juloos niklta tha par chhote se ghosh ke sath kuch log milkar ye juloos nikalte the ...par is bar ye taiyari...bahut ajeeb tha...yahi sawal maine amma se kiya....tab unhone jo jawab diya usne mujhe shoked kar diya...amma ne us ek or juloos ke bare main bataya jo baravafat par nikla tha....or un sari baato ke bare me bhi jo in julooson ke nikalne ke karan pure sahar me faili hui thi.....mujhe ajeeb dar lag raha tha...har roj ghar ki chhat par jati to kasbe ke har ghar ki chhat par jhande lehrate dekhte hue bahut achha lgta... par man ke kone me vicharon ka aisa tufan uthta or is tufan se niklte swalon ke jawab bade kathor hote...main judge nahi kar paa rahi thi ki ye achha ho raha hai ya fir....main bhi hindu hun lekin nhi samajh paa rahi thi ye kya hai....aakhir pratispardha ke yudh me us upar wale ko ranbhumi banana kahan tak jayaz hai...ye hal kewal hamare kasbe ka hi nahi balki hamare aas paas ke sehron ka bhi tha....lekin jab apne sawalon ke jawab nahi de pati to us upar wale ki taraf dekh ke muskarana aata tha ki wo bhi apne rangmanch par kya kya natak rach raha hai....lekin is natak ka parinaam kitna bhayanak ho sakta hai...ye hum samajh ke bhi nahi samjhna chahte...inhi dino raat ko kareeb 12 baje muhalle ke ladke gali me sajawat kar rahe the....main bhi apne pariwar ke sath ye sab dekh rahi thi....or dekhte dekhte hum sab so gaye...lekin subah subah meri sanse ruk gayi ..jab mummy chilate hue aayi ki amma kisi ne jhandiyan fad di hain...main kabhi jaldi nahi uthti lekin subah ke panch baje main uth ke darwaje par dekhne bhagi aakhir mummy ye sab kya bak rahi hain..lekin jhandiyan sahi thi ladko ne unhe upar saja diya tha...sabse pehle mummy par aake chillayi ki iska matlab aap samjhti hain kya ho sakta tha....lekin sayad ye sach kahi or ka tha...subah pata chala ki mau me poster fadne par dange ho gaye hain....jiska dar tha wahi hua...hamara kasba na sahi kisi or seher me mera wo dar sach ho gya....aakhi kar lakho ke kharche ke baad ramnavmi par din ke 12 baje se sham 6 baje tak juloos nikla...itna bada juloos maine kabhi apni zindagi main nhi dekha tha....lekin is juloos ke sath sath man me sawalon ka bhi bada sa juloos baith gaya hai....achha lga ye dekh kar ki sabhi jativad se upar uth kar ek sath aaye...lekin dusri taraf samaj do hisson me dikhayi diya..jise sab dekh sakte the lekin sab dekh ke bhi undekha kar rahe the...par main wo bhi nahi kar paa rahi thi....ki ek dharm ne chunoti di or dusre dharm ne us chunoti ka jawab diya...galat koi nahi par achha hota agar us upar wale ko aamne samne na karke sath chalte....ram ke juloose me raheem nachte...or raheem ke jalse me ram sahmil hote....tabhi to insaniyat ka dharm sarthak hota...