गुरुवार, 24 दिसंबर 2009

Why Tiranga is our natioanl Flag

TIRANGA is shabd ka naam aate hi hmare man me agar koi tasveer aati hai to wo apne BHARAT ke us gauravshali prateek ki yaad dilata hai jiske liye na jane kitne log shaheed ho gye...or unke jane par unki mau ne garv se kaha ki IS TIRANGE KE LIYE AISE LAKHO SAPUT KURBAN...par aaj kya ho gaya hme...ek bar jara nazar utha k dekhiye kya kehta hai ye tiranga....ye to aaj bhi apne rango ko samete har dard sahta rehta hai par is desh ko kya ho gaya jo inhi rango se bair kar baitha...is tirange ka ye kesariya rang jo desh ke hindutva ka prateek hai...safed sikh or isaiyo ka....or hara us muslim ka jiska rang hi khusi ka prateek hota hai....kya aapko is tirange me ye rang ek dusre se ladte dikhayee dete hai....kabhi nhi ye to har mausam me ek dusre k sath khade rehte hai...ab ise chahe koi rajneta apne fayede ke liye istemal kare ya fir kisi maa ke saput ko sradhanjali dena ho...ye sabhi sath chalte hai...To fir is tirange ki chhaya me rehne walo ko kya ho gaya....YE TIRANGA BANAYA TO HAMNE THA NAA???????

Telangana